New Blogger Mistakes According to Hindi Bloggers
Kisi bhi Field me jab new rhete hai to sahi jankari naa hone ke karan galti to sabse hoti hai, or aaj iss post me kuch aesi hi galtiyo ke ware me share karuga jo New Blogger karte hai. Kuch Time phele HMH Fb Group me ek post ki thi jisme sabhi Hindi Bloggers se mene ek question pucha tha ki Blogger Kya galti karte hai jo unko nahi karni chaiye, usme sabhi Hindi Blogger ne apne experience se jo Point share kiye wo sabhi points ko me aap sabse share kar raha hu. New Blogger 50 Mistakes #1: Sahi Topic ko select naa karna , or kisi bhi topic par blog bana lena. Apna Interest kisme hai wo aapko pata hona chaiye uske baad ussi par blog start kare. #2: Blog banate der nahi hui or Paise kamane ke ware me sochne lagte hai. #3: Dusre ke Blog se Copy karke Post Dalna, yee baat jab tak samaj aati hai bhut der ho gai hoti hai. Copy karne ke kya faide hai aap yaha read kar sakte hai. #4: Kisi Blog se kuch thoda sikha wahi Blog par Daal diya. #5: Blog Par Sirf Traffic ke ware me sochna : B...