Facebook Se Mobile Number Kaise Remove Kare




Hey readers ! facebook se number hatane ke liye aapko ek other mobile number or email ID ki jarurat hoti hai. Fb par aap jis number se account create karte ho wo number aapki fb id ki primary Log In ID hoti hai.


Facebook se mobile number kaise hataye


Facebook par aapko two choices milti hai apne mobile number ko remove karne ke liye. First jab aap apna OLD number remove karke new mobile number place karte ho. Second jab aap security ko lekar worried hote ho or apna number email se change karna chahte ho.


Facebook Par Last Name Kaise Hide Kare


Facebook par Mobile number use nahi karni chahiye kyuki ye aapki security ke liye harmful ho sakti hai. Facebook par aaye din croro account hack hote rahte hai aise me aap apni personal info ko save karna chahte hai to number ki jagah apni email ID ka use kariye.


Facebook se number hatane par aapko ek primary mobile number ya email ID daalne ko boli jati hai tab ish condition me aap apna email daal sakte hai. Facebook par Log In karne ke liye aapko ek primary number or email to chahiye hi hota hai.


Agar aap soch rahe ho ki apne fb account me hum na hi number dale aur na hi email id to aisa nahi ho sakta hai aapko ek chij daalni hi hogi ya to aap apna number rahne de aur ushe hide karke rakhe ya aap apna email ID enter kare.



Fb se number hatane ke alawa aap ushe hide bhi kar sakte hai. Ji han ! agar aap chahte hai ki aapka number aapke alawa kisi aur ko nahi dikhe to ish condition me aap apne number ki privacy ko “Only Me” me set kar sakte hai.


Facebook par apne number ki privacy ko Only Me me tab set kariye jab aap apne number ko kisi bhi friends ke saath share nahi karna chahte hai. Agar aapko apna number hi change karna hai aur uske jagah email ID daalna chahte hai tab aap ish post ko follow kar sakte hai.


Facebook Se Apna Mobile Number Kaise Hataye


Fb se mobile number number hatane ke liye aapko ek primary Number ya Email ID chahiye hogi isliye aap ish pure process ko karne se pahle ye confirm kar le ki aapko karna kya hai agar aap apne Number ko Email se change karna chahte hai tab hi in sare steps ko follow kare.


Mai aapko pahle hi bata chuka hu ki aap direct apna number apne fb account se delete ya hata nahi sakte kyuki ye aapki primary accoun number hoti hai. Agar aapko apne fb account se mobile number hatana hai to uski jagah aapko apna Email ya dusri mobile number daalni hogi.


Chaliye jaante hai ki kaise apne facebook account se mobile number delete karke Email id ko daalte hai !


Step 1 : First ! apne facebook account par Log In kariye.


Step 2 : Then setting icon par tap kariye aur phir apne profile button par click kare.


Fb se mobile number delete kaise kare


Step 3 : Ab apne profile section me scroll down kariye aur about button find karke ushpar tap kariye.


Fb se mobile number kaise delete kare


Step 4 : Now ! about menu me phir se scroll down kariye then contact info wale section me edit button par tap kariye.


Facebook se apna number kaise hataye


Step 5 : Ab yaha “remove mobile phones in account settings” button par tap kariye.


Facebook se mobile number kaise hataye


Step 6 : Ab yaha aapko apna primary mobile number dikhega aur saath hi uske nich “remove from your account” ka button bhi dikhega tab aap ush button par click karke apna number remove kar lijiye.


Facebook se mobile number kaise hataye


Number remove wale button par click karte hi confirm ke liye aapko apna facebook account password enter karna hoga. Password enter karne ke baad aapka mobile number puri tarah se remove kar di jayegi.


Number remove hone ke baad aap security ke liye apna email ID fb account me add kar le aur ushe confirm bhi kar lijye. Email add karne se Future me jab aapka account kisi karan wash block ya band hoga tab aap apne email se recover kar sakenge.


So friends dekha aapne fb se number remove karna bahut hi easy hai agar aapko facebook account or ish post se related kuch sawal puchna hai to wo aap hame comment ke through puch sakte hai.


Post pasand aaya to ushe social media me jarur share kariye ! thankyou



Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare