Facebook Profile Name Kaise Hide Kare ( Easy Way To Hide Facebook Name)




Hello friends ! aaj mai aapko facebook par profile name hide kaise kare uske bare me batane wala hun. Recent post me maine aako single name set karne ke bare me bataya tha hope aapne meri wo post read kari hogi agar nahi kari hai to bhi koi problem nahi hai ek baar jaankari ke liye pichli post ko jarur read kar le.


Facebook par profile name kaise hide kare


Facebook se related jitne bhi trick ke bare mai aapko bataun utna hi aapke liye kam hai. Ye platform itna popular hai ki koi na koi fb se related tips and tricks reveal kar hi deta hai. Facebook me sabse adhik tips and tricks share kari jati hai aapko yaha par har din kuch na kuch tricks ke bare me pata chalta hai.


Facebook me reveal karne layak bahut sari tricks available hai sari ek se badhkar ek hai par users sabse adhik facebook profile se name ko hide karne ke bare me hi search karte hai. Pata nahi wo sare ishi trick ke piche kyu pade hue hai sayad unhe apni identity hide karne me maja aata hoga ya wo social platform me khud ko show karna nahi chahte hai.


Aap ish trick ka use cool banne ke liye kar sakte ahi but aapse request hai ki ish trick ka wrong use nahi kare. Maine kuch logo ko dekha hai wo apne facebook profile se name ko hide karke dusre users ko abuse karte hai aur unhe pareshan karte hai. Ye galat baat hai dosto social media hame ek dusre se jodne ke liye banaya gaya hai na ki kisi ko gali dene.


Facebook par profile name hide karna aur last name hide karne ke tarike me difference nahi hai. Kuch points hai jisme aapko dono me changes karna hota hai agar aapne mera facebook se last name hide karne wala post ko padha hua hai to aapko pata hoga ki usme maine tamil language ka use karke apne last name ko hide kiya hai.


Last name ko hide karne ka ek aur tarika tha jo maine aapko recent post me nehi bataya tha wo method proxy change karke last nameko hide kiya jata tha. Ish post me main aapko jo trick batane wala hu wo to ahi facebook profile se pura name hide karne ka lekin agar aapko thoda bahut proxy ke bare me pata hai to aap last name ko bhi hide karne ke bare jaan sakte hai.


Facebook Par Profile Name Hide Karne Ka Tarika


Friends facebook par profile name hide karne ke 2 tarike hai aur inme se 1 tarika computer users ke liye hai but aap ushe apne phone se bhi kar sakte hai. Mere readers ka bahut kehna hota hai ki mai apne mobile users ke liye fb tricks nahi banata hun unhi users ko dhyan me rakhte hue mai 2 tarah ke tricks share karne ja raha hun.


1st method phone users ke liye hai aur 2nd method sirf pc users ke liye hai lekin in case agar 1st tarika kaam nahi karta hai to aap 2nd trick ko apne phone se bhi kar sakte hai !


1st Method By Uc browser For Mobile Users


Step 1 : Sabse pahle apne phone par uc browser download & install kariye.


Step 2 : Ab uc browser ko open kariye.


Step 3 : Open karne ke baad setting me jaiye aur phir niche di hui proxy ko proxy setting me save kariye.


  • Proxy : 219.083.100.195

  • Port : 8080

Step 4 : Ab sari settings ko save kariye.


Step 5 : Settings save karne ke baad apne facebook account me login kariye.


Step 6 : Login karne ke baad account >> settings me jaiye aur phir Indonesia language select kariye.


Step 7 : Language Indonesia select karne ke baad me apne account  >> general setting >> name me jaiye aur phir first and last name ko remove kariye.



Step 8 : Ab ish code [ kﱞﱞﱞk ] copy kariye.


Step 9 : Code ko copy karne ke baad facebook profile ke first name field me jaiye aur code kﱞﱞﱞk ko paste kariye.


Step 10 : Paste karne ke baad ab ek “k” ko remove karke settings ko save kariye.


Ab wapas apne account >> settings page par jaiye aur language ko english me select kariye. Itna karne ke baad ab aap confirm karne ke liye apne facebook profile page me jaiye aur check kariye aapka naam hide hua ya nahi. Friends chaliye ab mai aapko method number 2 ke bare me batata hu.


Actually me method number 2 bhi aapke 1st method ki hi tarah hai but ye pc users ke liye ahi aur aap ishe mobile se bhi kar sakte hai. Is mnethod me baki sare process same hai bas browser change ho chuki hai.


2nd Method By Mozzila Browser For Pc’s User


Step 1 : Sabse pahle mozzila browser ko apne pc par download & install kariye.


Step 2 : Ab browser open kariye.


Step 3 : Open karne ke baad advanced >> network >> settings me jaiye


Step 4 : Ab yaha par “manual proxy configuration” me tick kariye.


Step 5 : Proxy me 118.98.35.251 add kariye aur port me 8080 enter karke save kariye.


Step 6 :  Ab ek new tab kholkar apne facebook account me login kariye.


Step 7 : Login karne ke baad language ko indonesia me change kariye.


Step 8 : Ab aap apne account >> general settings >> name me jaiye aur phir first and last name ko remove kariye.


Step 9 : Ab ish code [ kﱞﱞﱞk ] ko copy kariye aur first name ki jagah par paste kariye.


Step 10 : Paste karne ke baad ek “k” ko remove karke naam ko save kariye.


Step 11 : Name save karte waqt aap se aapka account password confirm karne ke liye puch jayega tab aap password enter karke confirm kar le.


Note : Is code [ kﱞﱞﱞk ] ko first name ki field me paste karna hai na ki keyboard se type karna hai. Agar aap ishe keyboard se likhoge to ye trick work nahi karegi.


So friends itna karne ke baad me aap easily apne facebook profile name ko hide kar sakenge. 2nd trick mobile me tested nahi hai waise proxy Indonesia ki hai isliye agar aapko mobile wale mozzila browser me proxy change karne ki setting milti hai to aap proxy enter karke apne phone se ish trick ko kar sakte hai.


Agar aapko computer mozzila browser me proxy change karne me dikkat ho rahi hai ya aap proxy change karna nahi chahate hai tab ish condition me aap apne mozzila browser me Hola add-on add kar server ko Indonesia me change kar sakte hai. Mobile users hola app playstore se install kar sakte hai.


Hope aapko hamari ye post facebook par profile name hide kaise karte hai pasand aayi hogi agar aapko ish post se related kuch sawal puchna hai to wo aap hame comment karke puch sakte hai. Aapke comments hamare liye bahut hi valuable hoti hai isliye aapse request hai ki post me comment jarur kare.


Hamari ye post pasand aayi to ishe share jarur kariye ! thankyou



Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare