Flipkart Par Apna Product Sell Karne Ke Liye Seller Account Kaise Banaye




Howdy friends ! agar aapke paas ek offline store hai aur aap apne products ko online sell karna chahte hai to aap flipkart se aisa kar sakte hai flipkart par seller account bana kar aap flipkart se tieup kar sakte hai aur apne products flipkart ko de sakte hai apne website par sell karne ke liye.


Flipkart me seller account kaise banaye


Flipkart se aap partnership par work kar sakte hai aur partnership par work karne ke liye aapko apne products ka kuch commission flipkart ko pay karna hota hai commission ka amount aapke products par depend karta hai jis bhi product ka sell amount adhik hoga us product ke liye aapko adhik commission pay karna hota hai.


Flipkart par aapko product commission ke saath saath shiping charge bhi pay karna hota hai aur shiping charge amount bhi state level aur local ke hisab se alag alag pay karna hota hai aur ye product ki weight par bhi depend karta hai well agar aap flipkart par apne products sell hi karna chahte hai to sabse pahle aapko iski business model ke bare pata kar lena chahiye.


Flipkart par apne products kaise sell kare



Well ! upar image me aap dekh sakte hai ki kis tarah flipkart seller se shiping amount charge karti hai agar aapka product above 0.5 KG hai to ye Local area me agar ship karti hai to seller ko 20rs pay karna hoga aur kisi Other State me shipping karni hai to 30rs flipkart ko pay karna hoga well aap image me dekh hi sakte hai.


Flipkart Ka Business Model Kya Hai


Sabhi E-commerce website seller ke products ko bechne ke liye seller se commission leti hai flipkart bhi apne seller se commission par kaam karti hai aur saath hi shiping amount bhi charge karti hai jo mai aapko upar hi bata chuka hu Flipkart ko seller apne products ka 5 se 40% commission pay karna hota hai aur ye commission product par depend karti hai.


Commission products ke hisab se increase or decrease ki ja sakti hai matlab flipkart chahe to aapke product par kitna bhi commision laga sakta hai aur aapko ushe utna commission pay karna hi hota hai agar aapke kisi product ka selling adhik hai to to aapko flipkart ko utna hi adhik commission pay karna hota hai.


Flipkart Par Apna Saman Bechne Ke Liye Seller Account Kaise Banaye


Flipkart par seller account banane ke liye aapke paas TAN or CIN number hona jaruri hai saath hi GST number bhi hona jaruri hai agar aap apne business ko register karte ho to aapko TAN or CIN number mil sakta hai Business register karna matlab ki apni company start karna aur company kholne ke liye aapko kisi advocate se consult karna hota hai.


Agar aap sochte hai ki bina apna business register kiye hue flipkart par apna product sell kare to aisa nahi ho sakta hai kyuki flipkart ye allow nahi karti hai Suppose aapke paas ek sports se related store hai to usae aap pahle as a company register kariye then flipkart par daliye company register karne me kam se kam 40 to 50k kharcha hota hai aur 30 days ke andar aapka company register ho jata hai.


Ummid hai aapne apna company register kar liya hoga aur aapko apna CIN or TAN number bhi mil chuka hai agar aapko apna CIN, TAN or GST number mil chuka hai aur aap flipkart par seller account banane ke liye ready hai to niche diye steps ko carefully follow kariye !


Step 1 : First ! Flipkart Seller website par jaiye then apna email aur number type kariye aur Start Selling button par click kariye.


Flipkart me seller account kaise banaye


Step 2 : Start Selling button par click karte ek form hogi ab aapko selling account create karne ke liye ish form me apna naam, number aur password enter karna hai.


Apna products bechne ke liye flipkart par seller account kaise banaye


  1. Apna real name enter kariye.

  2. Email ID enter kare.

  3. Password enter kare ( yahi password aur email id se aap baadn me seller account me Login kar sakte hai)

  4. Mobile number enter kare.

  5. Mobile number enter karne ke baad Send OTP button par click kare then mobile number verify kar le.

  6. Now ! continue button par click kariye.

Step 3 : Continue button par click karte hi ek aur form open hogi aur usme aap se apne area ka pin code aur address bharne ko bola jayega tab aap apna pin code enter karke apna real address detail fill karke Submit button par click kare.


Flipkart me seller account kaise banaye


Done ! ab aapka seller account flipkart par ban kar ready ho chuka hai ab aap apna account confirm karne ke liye apna mail box check kariye waha ek confirmation link aayi hui hogi usme click karke flipkart seller account confirm kar le.


Aapne seller account create kar li hai ab aapko isme apne business or store ka detail enter karna hoga saath hi bank detail bhi fill karni hogi ab aap seller account ke dashboard menu par jaiye aur yaha listed sabhi pending form ko fill kar le shuru wale business tab me aapko apna business name aur TAN, CIN or GST number enter karni hai saath hi uska SCAN copy bhi PDF file me upload karna hai.


Flipkart par apne products sell karne ke liye seller account kaise banaye


Aap yaha upar Image me dekh sakte hai yaha 4 tab hai sabhi tab me aapko apna information fill karna hai ye seller account ka most important part hai isliye ishe ignore nahi kare nahi to aap flipkart ke partner member nahi ban sakenge.


Sari detail fill karne ke baad Listing menu par jaiye aur waha apna jo bhi product aap flipkart website par show or sell karna chhate hai add kariye add karne ke baad flipkart par wo product visible ho jayega aur selling ke liye ready ho chuka hoga.


So Guys ! hope aapko hamari ye jaankari pasand aayi hogi agar aapko flipkart seller account se related aur kuch bhi jaankari chahiye to aap hame comment kar puch sakte hai ya hame social media par bhi contact kar sakte hai.


Post pasand aaye to ishe jarur share kariye !



Comments

  1. Mujhe apna homemade product flipkart par sell karna hai mere pass cin, tan and gst number bhi nahi hai, iske liye mujhe kya karna hoga kripya batane ka kast karein, dhanyavaad

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare