7 before Blog Writing Tips » HindiHelpguru




Kisi bhi Blog ko success Banane ke Liye Usake Content ka Role Importent hai. Quality Content likhne ke liye sirf experience aur Knowledge hi jaruri hai, wo bat Galat hai. Aapke pas write skill bhi honi jaruri hai. Man Lo Aap sabkuchh Jante hai but Blog Reader ke samne kaise pesh karte hai. wo jyada important hai. Is Article me Aapke liye Pre-Planning Blog Writing Tips Di gayi hai.


Koi bhi Work karne se pahle Preparations jaruri hai. isake bina Aapka work sahi Method se nahi hota. Agar Aapne Koi bhi kam ke liye Pahle se Taiyari kar rakhi hai to 50% kam to ho hi gaya. isi Tarah blog Post write karne se pahle bhi kuchh taiyari kar leni chahiye. ye 7 before blog writing Tips se aapko ye bat samaj aa jayegi. kyuki Isase Aapka kam Saral Ho jata hai.



Blog writing tips
7 before Blog Writing Tips.jpg

Post Likhne ki Taiyari Kaise kare ?


Sabse Pahle to Hame Blog ki 1 post ki value ko samjna chahiye. blogging  se earning Aap kar rahe hai to Aapko one Post ka Importance malum hi hoga. Aap daily kitane $ Earning karte hai. life time kitani earning karenge ? Aur Aapke blog me Kitani Post hai ? isase aap 1 Article ki earning ka hisab kar sakte hai. tab jake samaj aata hai ki blog writing Tips kyu jaruri hai.


7 before blog writing Tips


Aapke liye Blog Post likhne se pahle kuchh Tips yaha provide ki gayi hai. ise details se padhne ke bad jab aap new post write karenge tab Aapka work aur Article Kitana Badal Jata hai  ye samaj jayenge. ye hai Article Ki 7 Tips List.


  • Select Good Subject – Topic

  • Read Related Post

  • Choose Post Title

  • Create a keyword list

  • Choose Focus keyword

  • Create a Article Sub Heading list

  • Ready to Post images & videos


Post Likhne se pahle Usaka Topic Yani Subject Select karna padta hai. isake bad hi next aap kuchh bhi soch sakte hai. Topic Blog Content ka main Part hai. Aapne Blog Reader ko Dhyan me Rakhkar Aapko Solid Aur Unique Topic Select karna hai. blog writing Tips Topic se hi suru hoti hai.



  • Blog ke main subject ke Related topic Pasand kare.

  • Adsense Earning ke liye blogging kar rahe hai to Aapko Topic Word ki CPC Bhi dekh leni Chahiye.

  • Topic ka sahi Ideas Na Aaye to Google Search se related topic Find Kare.

  • Analytics Traffic report se bhi Aap ko Badhiya Topic Select karne ke Liye Help milegi.

  • Also Read : Blog Post ka Subject – Title Kaisa Hona Chahiye ?


Agar Aapne New Blog Post write karne ke liye Topic Choose kar liya hai to Is Subject ke related kuchh Article padhe. Google Search Engine me Aapka Topic word Add karke related Post Find kare. Aapke Favorite blog me jake bhi ye topic Search Kar sakte hai.


Other Popular  Blog se kuchh Post padhe. kyuki Hame Apane topic Ke bare me Knowledge hone ke bavjud kuchh na kuchh naya shikhne ko Milta hai. isase hame idea aa jata hai ki post me kya content add karna hai. Dusare blogger ki blog writing Tips bhi ham jan sakte hai. jyada nahi but minimum 3-5 Post jarur padhe.



Kya Blog Post write karne se pahle hi Post title choose kar lena chahiye ? mera Javab Hai ” YES ” Kyu ki SEO ke liye Title se jyada kuchh Important nahi hai. WordPress me title ko ek bar likhne ke bad change karne me kya mushkil hoti hai wo to wordpress user jaante hi hai. Blogpost ke liye hame malum nahi but aisa hai hota hai.


Man lo Aapne Post publish kar di. kuchh din bad Aapko lage ki Isaka Title Galat choose kar liya hai. Aap title Nahi Badl Sakte. kyuki Title Change karne se Search console ( google Web master tools ) me Old title – Url ki Error (404 Not Found ) Aa jati Hai. fir se new Url Ko Crawl – index karna padta hai. kuchh Din tak google search me duplicate url title bhi show hote hai. Url ki Position bhi badal jati hai. SEO ke liye ye sab sahi nahi hota. isaliye blog post write karne se pahle hi Post title select kar le to bad me koi problem nahi aati.


  • Topic ko Google me search karke Aap title kaisa rakhe Isaka Andaja Laga sakte hai.

  • SEO Friendly title Select kare.

  • google search  se apko pata chalta hai ki koi dusare blog title se Hamara Title same na ho jaye.

  • related Searches ke Long tail Keyword bhi Aapko Title ke word select karne me Help Karenge.

  • google keyword planner ka Use karke High CPC keyword bhi find karke Title ke Liye Soch sakte hai. blog writing Tips me next keyword ki importance bhi samjenge.

#4 : Create a keyword list


Sabse pahle Aap Keyword kay Hota hai ? Keyword ko Blog Post me kaise Use kare ? ye Article Padhe. Aap micro niches blog create karna chahte hai to Aapko  quality  Keyword Use kane hi padenge.


Blog Post Likhne se Pahle Aapko Keyword ki List bana leni chahiye. adsense CPC se pay karta hai. Jis keyword ki cpc High hogi wo keyword  per click maximum Earning dega. Google Keyword Planner se Aap Adwords and Adsense high CPC Keywords  ( post title ke Related ) Find kar ke List bana Le.


Useful : Top 50 High CPC keyword 2016 : Adsense se Maximum earning ke liye 


Google search engine se bhi Popular keyword search karke list bana le. ise Aapko Blog Post me Use karna hai. post me SEO friendly keyword kaise use karna ye bhi ek blog writing Tips hai.


#5 : Choose Focus keyword


Agar Aap wordpress Blog Platform Use kar rahe hai to Focus keyword kya hai wo nahi Samjana Padega. blogspot me ye SEO future hota nahi hai. fir bhi mai suggest karunga ki Focus keyword me bare me Samaj ke use kar sakte hai.


Blog post likhne se pahle hi Focus Keyword kya rakhenge wo clear kar le. kyu ki keyword density ka bhi aapko khyal rakhna hai. post write ho jane ke bad Focus keyword Change karna kitana mushkil ho jata hai wo to aap samjte hi honge.


#6 : Create a Article Sub Heading List – Topic


before Blog Writing Tips ke is Topic me Aap Post content ke liye Kuchh Topic banale. Topic ka title bhi Aapko H2, H3, Me SEO Ke Liye Use karna hai.


Example : jaise  Maine Is Article me totel  7 Sub Heading use kiye hai.


Aap bhi blog post ke liye Jaruri Subheading ki list bana le. jisase aapko post write karne me saralta rahegi. koi topic miss nahi hoga.


#7 : Ready to Post images & Videos


before Blog Writing Aapko Article ke Liye Images & Videos Taiyar kar lena Jaruri hai. posts likhne se pahle ye work kar lete hai to Aap Ek achhi Images – videos reader ko Provide kar sakte hai. post write karte karte bich me images ko choose karne jana write skill me dakhal sa lagata hai. Aur aap jaldi me Achhi images add nahi kar pate.


Blog Post me videos Add karna jaruri lage to videos ko bhi pahle hi select kar le. isi tarah post ke liye infographic, animation bhi ready kare. ye Blog Writing Tips ka last topic tha.


Extra Inning : 


  • Blog Post Pre-Planning Article ko Padhne ke Liye Aapka Dhanyavad.

  • Blog Writing Tips Se Aap SEO Friendly Post write kar payenge.

  • Reader Ko quality Content Dene Me Safal Ho Payenge.

  • Blog reader bar bar Post Padhne Revisit Karenge.

  • Traffic badhega. Page rank Bhi Badhiya Hota jayega.

  • Article Ko Share karna Mat Bhule.

  • HindiHelpGuru Fb Page Like Kare .





Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare