Ek Computer se Dusre Computer me Data Transfer Kaise Kare




Hey everyone ! some times aapko apne computer se dusre computer me data transfer karna hota hai par wo aap pen drive se nahi karna chahte kyuki usme bahut time waste hota hai aur file transfer bahut hi slow hoti hai.


Ek computer se dusre computer me data transfer kaise kare


Pen drive se aap limited file hi transfer kar sakte hai Isme more then 64 gigs ki hi file transfer kari ja sakti hai. Agar aapko Isse jyada ka data dusre computer me share karna hai tab ish condition me aap external hardrive ki help le sakte hai.


Hard drives par aapko bahut hi jyada space milti hai Mere hard drive me 500 gigs ki space hai aur isse mai easily apne computer se dusre computer me bade files ko share kar sakta hu par isme mujhe bahut waqt lagta hai aur mera keemti time bhi barbad hota hai.


Lighting ki speed se files ko dusre computer me share/transfer karne ke liye aap Lan cable ki help le sakte hai. Lan cable ek cable hoti hai jo do computers ko ek saath jodne ke kaam me aati hai iska use karke aap dono computer me data bhi share kar sakte hai.


Agar aap Lan ka use nahi karna chahte to wifi network se bhi laptop to laptop file transfer kari ja sakti hai par kuch small size ki files hi isse share kari ja sakti hai agar aap isse bahut bade files share karenge to aapko bahut time lag jayega.


Ek computer se dusre computer me data transfer karne ke to bahut se tarike hai par mujhe sabse best Lan cable se data transfer karna easy lagta hai. Ek baar ishe dono computer me connect karne ke baad aap 1 terabyte tak ki file send kar sakte hai.


Ek Computer Se Dusre Computer Me File Transfer Kaise Kare


Friends ! post me mai aapko data transfer kar ke dikha to nahi sakta hun par ye bata jarur sakta hun kaise kaise data transfer kara ja sakta hai. Niche maine aapko kuch tarike bataye hue hai unhe read kariye !


#Lan Cable 


Pc se pc me data transfer kaise kare


Lan cable ki help se aap easily ek computers se 1k+ plus computer me ek saath Data transfer kar sakte hai. Ish cable ki madad se aap khud ka network connection bana sakte hai aur 1000 se bhi jyada computers ko aapas me jod sakte hai.


Lan waise to network sharing ke kaam me aata haipar iska use data sharing ke liye bhi kara ja sakta hai. Iska use office or collages me bahut hi jyada hota hai waha kai sare computers aapas me connected hote hai Lan cable ki help se.


#Hard drive


Computer se computer me file transfer kaise kare


Hard drive ek storage device hoti hai aur ye data read/write ke kaam me aati hai. Iska use karke aap bade bade files ko apne pc se dusre ke pc me transfer kar sakte hai. Ye pen drive ki tarah work karti hai par usse bahut hi jyada badi hoti hai.


External hard drive par aap 500 gigs aur usse bhi jyada tak ki file copy kar sakte hai ye aapke hard drive ki storage capability par depend karta hai. Isme aapko apna data pahle copy karna hota hai then other pc jakar paste karna hota hai.


#Pen drive


Computer se computer me data transfer kaise kare


Pen drive data store karne ke liye ek mini device hai Isme aap Limited data hi store kar pate hai. Agar aapko chote mote files dusre computer par share karna hai tab aap iska use data transfer karne ke liye kar sakte hai.


Pen drive adhik se adhik 64 Gigs ki aati hai aur aap isme 64 Gigs ki hi file copy karke dusre computer me paste kar sakte hai. Chote files ko copy or transfer karne ke liye ye ek best data sharing device hai.


#Wifi


Laptop se laptop me file transfer kaise kare


Agar aapke paas laptop hai aur laptop me wifi ki suvidha hai tab aap do laptop ko aapas me connect karke data transfer kar sakte hai. Isse data share karne ke liye aapko internet connection nahi chahiye hota hai.


Laptop to laptop data tarnsfer karne ke liye ye ek best tarika hai. Iski speed aapko pen drive utni milti hai aur aap easily kai sare files dusre laptop me transfer kar sakte hai. Isse ek baar me aap 100 gigs tak ki file send kar sakte hai.


Wifi se data sharing ke liye aap Xander or Share it jaise application apne computer me install kar sakte hai. Main xander use karta hu apne phone se computer me data share karne ke liye aur ye mujhe 4 Mbps tak ki sharing speed deti hai.


#Bluetooth 


Laptop se laptop me file transfer kaise kare



Bluetooth data sharing ke liye bahut purana ho chuka hai. BT 4.0 se aap maximum 1 Gb tak ki file share kar sakte hai. Waise to ye data share karne liye best nahi hai par agar aapko kuch na milte file transfer ke liye to iska use kar sakte hai.


Bluetooth ko laptop to laptop file sharing ke liye use kara ja sakta hai. Computers me bluetooth nahi hoti hai uske liye aapko adapter kharidni hoti hai maine adapter bhi use ki hui aur iski speed bahut kam hai 😛


Bluetooth mobile se computer par network sharing ke kaam me bhi aati hai !


#Internet 


Computer se computer me file share kaise kare


Internet ka use hum aur aap aajtak web surfing, movies aur videos dekhne ke liye hi karte aaye hai par bahut kam logo ko pata hai ki isse aap ek computer se dusre computer me data transfer bhi kar sakte hai.


Teamviewer ek aisi application hai jiska use karke aap computer files ko dusre computer me transfer/share kar sakte hai aur computer ko control bhi kar sakte hai. Online aap kahin se bhi computer data transfer kar sakte hai.


So Guys ! ye the kuch simple tarike jinka use karke aap apne computer se dusre ke computer me data transfer kar sakte hai. Agar aapko data transfer karne ke bare kuch aur tarike pata hai to aap wo mujhse share kar sakte hai.


Hope aapko meri ye jaankari pasand aayi hogi agar aap post se related apni opinion hamare saath share karna chahte hai to wo aap comment ke throgh kar sakte hai. Apki comment hamare liye valuble hai isliye comment jarur kariye .


Post pasand aayi to ishe jarur share kariye ! thankyou



Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare