Apne Blog Par Kon Sa Aur Kaisa Post Likhe Kaise jane,10 Killer Tips




Hello friends aaj mai Aapko Phir se ek naye Topic par article lekar aaya hu Jo aaye Dino logo ke dimag me aate rahta hai pahle mere mind me kuchh hi tips tricks tha Mai jub blog start kar raha tha to mere pass kuchh hi topic tha ye sabhi bate maine Delhi wale Brother ko bataya to wo kaha jo tumhare mind me abhi hai uske likhne ke bad kya likhoge mai bhi kuchh der sochne laga aaj aalam ye hai mere pass itne post ideas hai mai daily 5 post bhi karu to sayad hi mere mind idea khatm hoga Kabhi kyuki 1 post likhne ke chakkar me  10 post ka idea aa jata hai To Aaiye aaj mai Aapko apna Khud ka Experience bata raha



1   .   Question Answer Facebook Group Group se post idea le


Aapko iske liye kahi extra time dene ki jarurat nahi hai kyuki din me koi kam ho ya na ho aap facebook to jarur use karte ho aap facebook use karte karte Aapko kya li8khyna hai ye jan sajkte ho facebook par aise Aapko kai Group mil jayenge jaha par question puchha jata aur uska answer  waha ke member log dete hai


 


2  . Dauble Benefit  Read Forums And  Join Community 


Isse Aapko ek hi benefit nahi dauble benefit milegi ek to aapka apna Blog promote ho jayega  aur iss form me kai tarah ke sawal milenge jisse Aapko aapke post ka contant idea mil jayega


 


3.  Blog comment se Post idea Le( Focus On Comments )


Chahe aapka Blog ho ya phir kisi aur ka aap kisi ke blog read karte hai to sirf post padhte hai mai uska comment hi padhta hu kyuki post me jo sawal aayenge uska details hame wahi post me rahta hi Rahta Hai Lekin blog me jo log comment karte hai to waha Aapko sawal ka bhandar mil jayega aise agar aapke blog par comment aata hoga to aap waha se bhi le sakte isse Aapko ek aur fayada hoga aap visitor ke liye bhi post llikh lenge


 


4 .  Google serach se contant idea Le 


Isse badhiya idea to koi de hi nahi aap koi bhi post lkhte ho google search karte ho usme Aapko kitne result aate hai usse Aapko usi post se releted contant idea mil jata hai to aap bahut hi aasani se contant idea le sakte hai 


 


5  .  Apne Visitor Se contant Idea le, Iske Kai fayde


Jub aap aisa karenge to Aapko iske kai fayde milenge ek to aapke visitor khus ho jayenge kyuki Jub aap se puchhte hai Aage aap kaisa post blog par read karna chahenge To udhar se kai reply aate hai agar aap sabhi topic par post likhte hai to wo jarur khus honge aur jo owner user ke liye post likhte hai unhe google badhiya rank deta hai sabse badi bat Aapko samajh nahi aa raha tha hum ky likhe wo to mil gaya


 


6  .  Jo Article Padhe Hai Wo Kisi Aur Blog Par Dikhe To Jarur Padhe 


Bahut sare log ye sochte hai hame to ye aata hi hai ye kyu padhe  ek tarah se wo sahi aur galat dono hai lekin mai Aapko bata du har ek insan ka apna ek Tilent hota hai wo apne tarike se apne thought ke sath likhta hai  agar aap uss post me jo bhi padhte hai to post ke bich me se koi sawal  mil sakta hai aap usse bhi apna idea le sakte hai


 


7  .  Google Plus Blogging Communities Join kare 


Aapko google plus ke aise kai Community mil jaynege jaha simple sawal nahi trending sawal ki bat hoti hai lekin aaj ke blogger to yahi samjhte Google plus dead hai lekin sayad aap bhul rahe ho issi ka replace facebook ,twitter hai Aapko yaha se ek benefit nahi kai benefit milenge kyuki facebook sabhi log use karte hai jisse website kaise open kare Ye samajh bhi na ho but google + wahi use karte hai jiske pass kuchh qulity ho to dosto seo ke liye facebbok se  bahut hi achha platform hai google+ aap yaha apne post ko share karke dekhe Aapko khud samajh me aa jayega


 


8  .  Purani Post se New Post Ka Idea le


Ye bhi ek tarika jo post aapne pahle dali hai usse new likhne ka tarika janne ke liye jub aap purani post ko dekhnege to Aapko ye samjh me aayenge ab hum isme aur kya add Kar ya likh sakte hai  jaise main ek post  likha  Limit Ke bad bhi facebbok name change kaise kare Just uske bad phir mind me aa gaya Limit khatm hone ke bad facebook DOB change kaise kare to aap isi tarah purine post se new post me kya likhe jan sakte hai


 


9 . Use Question Sites ( Quora and Yahoo answer )


Ye ek aisa option hai aap puri life contant likhte rah jaoge  phir bhi khatm nahi hogi yaha Daily hazaro sawal puchhe jate hai  wo bhi aap jis topic par blogging karte ho usi Ke niche  Quora ek aisa question answer form hai jaha aisa Phir bhi sawal nahi Jiska answer waha nahi mile  agar Aapko ye janna hai abhi kya Trend chal raha hai To aapke liye ye ek best option hai


 


10  .  Basic se soche aage ka Contant khud mil jayega 


Ji ha aap bilkul niche se soche agar aap ye pata karenge Gmail account kaise banaye to iske bad usi ke kai feature ke bare me jankari mil jayegi Jo Aapko ek naya Topic de sakti hai


To dosto yaha maine Aapko  10 aise tarika bataya agar aapke pass bhi aisa koi tarika hai To aap hame comment me bataye post kaisa laga wo bhi agar kuchh jayada pasand aa gaya ho to ek share jarur kare



Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare