Phone Ka Internal Storage Kaise Badhaye (Phone Storage Increase)




Android smartphone me kam se kam 4 Gb Internal storage hona bahut hi Important hai kam storage ki wajah se bahut se apps phone me install nahi hote hai.


Android Phone Ka Internal Storage Kaise Badaye


Aaj kal ke new android phones me Minimum 8 Gb Internal Memory di jati hai wahi agar aap OLD android smartphone use karte hoge to aapko pata hoga ki usme sirf 2 Gb ki hi storage di gayi hogi.


Bahuto ki problem phone ke storage ko lekar hoti hai in phones me HD games ko run karane ke liye bhi Free space ki jarurat padti hai.


Kuch phones me to 2Gb se bhi kam storage di jati hai aur unme apps ko installed karne me bahut problem hoti hai Internal storage kam hone ki wajah se installed apps bhi sahi se work nahi karte aur baar baar phone slow ho jata hai.


Phone me internal storage jyada na hone ki wajah se aapko bahut se problems ko face karna padta hai agar mai Games ki baat karu to ek HD game ko phone me chalane ke liye uske DATA ko phone memory me hona bahut hi jaruri hai.


Agar aap us game ke DATA ko phone ke alawa SD CARD me copy karte hai to wo run nahi karegi Kisi kisi smartphones me SD CARD ko bhi default storage banaya ja sakta hai lekin aise bahut kam hi smartphone bane hai jo aapko SD CARD ko default storage banane ki permission deta ho.


Agar abhi ki smartphones ki baat kare to ye suvidha ab ke sare phones me available hai but OLD phones jaise Jelly Bean, Android Kitkat 4.0 ke lower operating system me ye available nahi hai.


Android phone ke internal storage ko increase karna itna aasan nahi hai agar aap koi bhi short method phone ke internal memory ko badhane me karte hai to definitely wo trick work nahi karegi.


Kyuki phone ki storage badhane ka ye sahi tarika nahi hai aur wahi agar aap ish post me bataye trick ko follow karte hai to mai aapko 100% guarantee deta hu ki ye post aapki puri help karegi basarte apko ishme bataye sare steps ko carefully follow karna hoga.


Agar aap isme se koi bhi ek step ko skip karte hai to ye post apke kuch kaam ki nahi hogi isliye aapse request hai ki post ko puri tarah se padhne ke baad trick ko apne phone me apply kariye.


Phone Ka Internal Storage Badane Ke Liye Kin Equipment Ki Jarurat padti Hai?


  • Computer – Ji han aapko ek PC/Computer ki jarurat padegi bina PC ke aap phone ka internal memory ko increase nahi kar sakte hai Internet me apko without PC ke bhi tricks milegi but mai aapko bata du wo 100% working nahi hogi isliye aapse request hai ki with PC hi ish trick ka use kariye.

  • A Partition Disk Manager Software – Ek Disk Partition Software aapke computer me installed hona chahiye Ise kaha se download karke uska Link mai aapko niche steps me batauga.

  • Card Reader – Memory Card ko computer se attach karne ke liye apko ek card reader ki jarurat padegi, Ise aap market se 20 Rs me kharid sakte hai.

  • Memory Card – Class 4 ka ek memory card chahiye jiski storage 4 Gb ya usse adhik honi chahiye.

Note : – Jab aapke paas ye sab equipment aa jaye tab aap phone ko root kar use Full charge kar lijiye.


Android Phone Ka Internal Storage Kaise Badhate Hai?


Mai jo trick aapko batane wala hu wo thoda lamba hai isliye aapse request hai ki post ko dhyan se padhe aur steps ko carefully follow kare agar aapse galti se koi step skip hoti hai to phir ye trick work nahi karegi,


Step 1. Sabse pahle Mini Partition Wizard Software apne computer me install kariye.


Step 2. Ab Card Reader ki help se Memory Card ko computer se connect kariye.


Step 3. Card ko connect karne ke baad Mini Partition Software open kariye.


Step 4. Ab yaha aap ka memory card drive show hoga Isme Right click karke Delete Partition ko select kare.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 4. Delete partition me click karne ke baad memory card puri tarah se Format ho jayega aur “Unallocated” name se show hone lagega tab aap phir se Right click karke Create Partition ko select kare.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 5. Create Partition me click karte hi ek aur Window khulegi isme aapko Internal Storage ki capacity aur Type select karna hai, Isme Right to Left slide karke aap Storage ko Increase aur Decrease kar sakte hai.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


  1. Yaha Primary select kariye.

  2. Yaha FAT32 select kariye, Agar aapka Memory Card 2 Gb se kam hai to FAT select kariye.

  3. Ab adjust karke phone ke liye Internal Storage Fix kare.

  4. Ab OK me click kar de.

Step 6. Ab aapka ek Partition Drive create ho jayega ab aapko ek aur Additional External Drive create karni hai so wahi process ko dohraaye aur “Unallocated” drive me Create wale Partition me click kariye


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 7. Create Partition me click karte ek aur window khulega usme bhi aapko Storage aur SD Card type select karna hai, Pichle me aapko maine FAT32 select karne ko kaha tha isme aapko EXT 2 select karke save karna hai.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


  1. Yaha bhi Primary select kariye.

  2. Yaha EXT 2 select kariye.

  3. Default Storage Itna hi rahne de, Ise aap adjust bhi kar sakte hai.

  4. Ab OK me click kar dijiye.

Step 8. Aap Ke Memory Card me 2 Partition drive create ho chuke hai ab bas aapko ise save karne ke liye apply menu me click karke confirm karna hai.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 9. Confirm karne ke baad aapko kuch second wait karna hoga memory card ko partition drive me fully convert hone me jab aapke card ki partition process puri ho chuki ho tab aap card ko computer se Eject kar le.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Ab aapki sari settings ho chuki hai aur memory card bhi partition drive me convert ho chuka hai ab aap PC se memory card ko eject kar le aur phone ko OFF karke memory card ko usme Insert kare aur phir phone ko ON kare.


Dhyan rahe memory card ko Phone OFF hone ke baad hi Insert kare agar aap Direct ON me hi card ko Insert karte hai to gadbad ho sakti hai.


Step 10.  Ab aap Phone ko ON karne ke baad Ise ROOT kar le Root ke bina ye work nahi karegi.


Step 11. ROOT kar lene ke baad apne phone me Link 2 SD App download karke Install kariye.


Step 12. Install hone ke baad us app ko launche kariye aur Root Permission ko allow kare.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 13. Root access Allow karne ke baad ek PopUp menu khulega usme aapko EXT 2 option select karna hai.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 14. Ab aapse phone ko reboot karne ko kaha jayega tab aap phone ko reboot (restart) kare.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 15. Phone reboot hone ke baad phir se Link 2 SD app ko open kariye aur Filter menu me click karke ON Internal storage ko select kariye.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 16. Filter me “On Internet Storage” menu select karne ke baad thik uske bagal wale Menu Key me click kare aur usme Multi select option me jakar sabhi Internal storage me jo apps honge unhe all select kar le.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 17. Sare internal memory me jo apps hai unko multiple select karne ke baad option key me click kariye aur Create Link option ko select kare.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 18. Create Link ko select karne ke baad confirm karne ke liye kuch Features ko tick karne ko kaha jayega tab aap un 3 feature me tick karke OK button me click kar de.


Android phone me internal storage ko kaise badaye



STEP 19. Ab Link Create hona start ho jayega 2-4 minut me Link Create ki process puri ho jayegi.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Step 20. Ab aapka SD card phone ke Internal Storage se Link ho chuki hai ab aapko bas ek last kaam karna hai phone ka default storage ko SD card se Link karna hai, jisse hoga ye ki koi bhi file aap phone me install karte hai to wo direct Partition Internal storage me jakar store hogi, Iske liye aapko karna ye hai ki Menu option me jana hai aur Auto Link ke saamne tick karke save karna hai.


Android phone me internal storage ko kaise badaye


Itna karne ke baad aapke phone ka Internal Storage increase ho jayegi ise check karne ke liye aap Link 2 SD app me about menu par jakar storage check kar sakte hai.


Dosto ye trick hai thodi lambi lekin 100% work karti hai agar aap ko ish app ko install karne ya phone ko root karne me koi problem ho rahi hai to aap mujhse comment karke uska solution jaan sakte hai.


Phone ka internal storage badane ke liye yahi Link 2 SD app hi badiya hai Ish app me thodi bahut problem hoti hai but ye itni easy hai ki aap use easily fix kar sakte hai baki agar apps me ya internal storage badane koi problem hoti hai to aap mujhe puch sakte hai.


Post pasand aaye to use apne dosto ke saath jarur share kariye.



Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare