Facebook ID Block Q hoti hai or Kaise Bacha Jaye Block hone Se


Facebook sirf Naam hi kafi hai.. Aesa sayad hi koi hoga jo Internet use karta hai or uski Facebook par ID nahi hai.

Facebook Par ID mainly in karano ke liye banai jati hai,

  • Apne Dosto, Ristedaro, or apne pehchan ke logo se jude rha sake.
  • Agar koi Business hai, to uska Promotion ke liye ya fir Time Pass ke liye bhi Page Banate hai 

Ham Facebook Par Group bhi bana sakte hai, jisme Group ke member post kar sakte hai.

Chaliye ab topic par aate hai, Jese ki aapne dekha hoga ya suna hoga ya fir aapke sath bhi aesa huaa hoga ki aapki ID block ho gai ho, or ID ko kholne ke liye facebook friends ke kuch photo aate hai unko phechan kar hame batana hota hai.. jab hi wo ID khulti hai.

Facebook ID Block Q hoto hai, or Kaise Bacha Jaye BLock hone se

Kabhi kabhi aesa hota hai, ham jis naam se ID banate hai, uska ID proof maga jata hai. IDD proof me Hamara Naam, Date of Birth honi chaiye..

Also Read: Facebook Account Hack Hone se kaise Bachaye

Facebook ID Block hone ke karan

Facebook ID Block hone ke bhut karan hai, par ham simple sabdo me samje to agar ham koi bhi aesa kaam karege jo dusro ke liye sahi nahi hai to hamari ID block ho sakti hai.

ye kuch Points

  1. Bhut Logo ko Friend Request send karna.
  2. Ek hi post ko bar bar share karna.. alag alag page or Group me.
  3. EK sath bhut logo ki post me Comment or Like jaldi jaldi karna.
  4. Apni Facebook ID ka Naam sahi se nahi likhna.. Kuch log kya karte hai Naam stylish dikhane ke liye ulte sidhe send likh dete hai.. isse bhi ID Block ho jati hai.
  5. Profile Photo sahi set nahi karna.. Kuch logo ko aapne dekha hi hoga jo kisi dusre ki Photo use karte hai apni Profile me.
  6. Apni Post me Bhut logo ko Tag karna bar bar.. Kuch logo ko Facebook ka kida hota hai, jo sirf Like or comment ke liye jite hai. Like badane ke liye wo kya karte hai apne 100 logo ko tag kar dete hai.. aesa bilkul nahi karna chaiye uska karan me aapko aage bataoga Q.
  7. Fake ID hona bhi ek karan hai ID block hone ka.

Ye kuch Points, inko pad kar aap lagbhag samaj gaye hoge Facebook ID Block hone ke kya kya karan ho sakte hai.

Facebook ID Block hone se kaise Bachaya Jaye

Facebook Par agar hamari Personal ID block hoti hai to kitna dukh hota hai, ye unse acha koi nahi jaan sakta jinki ID Block ho chuki hai.. Kuch logo ke sath aesa bar bar hota hai or unko uska karan samaj nahi aata aesa mere sath q ho raha hai or usse kaise bacha jaye. TO chaliye jaante hai kuch tips, jinki madad se ham apni ID ko Block hone se bacha sakte hai.

  1. Apne Account ki Puri Jaankari Sahi Sahi dale.
  2. Account me Real Naam hi use kare.
  3. Sahi Janm Tithi (Date of Birth) hi dale. Agar aap nahi chate ki koi usko dekhe to aap hide kar sakte hai.
  4. Profile Photo me kisi dusre ka Photo Naa dale.. Agar aap apni Privacy ke liya apna Photo Share nahi kar sakte to aap koi aesa Photo dale jisko dekh kar koi ye na samje ki wo uski Profile hai.. Khane ka matlab hai agar aap Salman ki Photo lagayege to koi nahi samjega ki ye salman ki Photo hai.
  5. Jinhe Aap nahi jaante unki friend request accpect nahi kare. Iska sabse Main karan hai.. Aapne dekha hoga like badane ke liye bhut logo ko tag kar diya jata hai. Fir jab ID block hoti hai to hame ye phechanna padta hai ki photo me kon hai.. par ham aesa nahi kar pate wo lisiye q ki photo me 100 logo ko ek sath tag kiya hota hai. Logo ne Photo Tags ka matlab hi change kardiya hai or uska sahi matlab bhi nahi pata hoga bhut logo ko.. Tag ka matlab hota hai ki jo photo hai usme wo hai jisko tag kiya gaya hai.. Facebook Friend Request Block karde agar aapke pass faltu ki friend request aati hai to.
  6. Ek sath bhut logo ko friend Request naa send kare. Jinko nahi phechante unko to bilkul nahi.. Hota ye hai jab aap bhut logo ko friend request send karte ho or jab wo aapki firend request accpect nahi karte to facebook ko lagta hai aapki ID fake hai. Agar aapne bhut logo ko friend request send ki hai to unko cancel kare, kaise karna hai yaha bataya hai.
  7. Ek hi post ko bar bar share naa kare, isse bhi facebook ko lagta hai ki ye apne promotion ke liye logo ko paresan kar raha hai.
  8. Apni Email ID or Mobile Number dono ID me dal kar rakhe. bhut logo ke mere pass message aaye ki unhone Mobile number se ID banaithi, or ussi number se Dusri ID bana li.. to pheli ID nahi khul rahi hai..isse bachne ke liye aap EMail ID bhi add karke rakhe.. Email ID kaise banate hai uski jaankari yaha hai.
  9. Agar aapko koi bhi aese photo me tag karta hai jisme aap nahi hai to aap usko kha de ki aage se aesa naa kare, nahi to usko unfriend karde.. Nahi to hoga ye ki kabhi kisi karan aapki ID block ho gai to aapko photo phechan kar batana padega kon hai photo me, jo aap nahi kar paoge.
  10. Kuch bhi galat chij share naa kare jisse kisi ko facebook par paresani ho.. Khane ka matlab hai ki aapne koi Nude phot dal di facebook par, to bhut logo ko wo pasand nahi aayegi to wo us photo ko remove karne ke liye facebook se report karege.. or report karne par ID block ho sakti hai.
  11. Fake App ko Remove kare FB Account se, Q ki inke karan aapka facebook account hack ya Block to normally ho jate hai.

Agar aapki koi Face ID hai to me aapko Suggest karuga ki aap usko delete karde, Fake ID ka matlab hai aap logo ko dhoka de rahe hai.

To Friends ab aapki Bari, Aap apne experience comment karke share kare, kya aapki ID kabhi Block huii hai, or aapne uske baad kya kiya.. Jo Points mene bataye hai unke aalawa bhi aapko algta hai ki ye koi or karan bhi hai ID block hone ke to wo bhi jarur bataye.. Taki me Post me unko add kar saku..

Facebook ki or jaankari ke liye yaha click kare

Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare