Free Me Wordpress Hosting Kaise Kharide (Buy Free Web Hosting)




Howdy ! wordpress website banane ke liye aapko ek web hosting ki jarurat padti hai Hosting aapke wp site ko host karta hai aur uska sara database aapke hosting server par store hota hai India me 3 best hostings companies hai jo aapko paid hosting service provide karti hai.


Free web hosting kaise kharide


Godaddy aapko sabse kam price me web hosting provide karti hai ye aapko 1500 se bhi kam price me 1 year ke liye hosting deti hai iski hosting price to kam hai par ye achhi service nahi deti hai wahi dusri aur hostgator jo india ki number 1 hosting company me se ek hai.


Hostgator ka plan aur pricing bahut hi mahanga hota hai beginners ishe afford nahi kar pate hai par ye service bhi top class ki deti hai agar aap ke pass budget hai to mai aapko hostgator hosting ki buy karne ki salah deta hu iski hosting aap aankh band karke buy kar le.


Free hosting provider companies bhi internet par bahut hai par sabhi aapko acchi service de ya thoda muskil hai maine bahut si free hosting use ki hui hai aur unme se sabse achhi service mujhe viewen (chicago) ki service achhi lagi hai.


Viewen ek cloud hosting company hai jo aapko aapke wordpress site ke liye free me hosting provide karti hai iski service maine use ki hui hai aur ye baki sari free hosting companies me se best hai meri ek website par 5k plus traffic hai phir bhi site kabhi down nahi hui hai.


Agar aapke paas budget kam hai aur aap free ki hosting kharidna chahte hai to mai aapko ankh band karke viewen use karne ki salah deta hai mai abhi to aapko nahi bata sakta ki iski hosting kitni achhi hai par ye jarur kahunga ki ye Godaddy se 10 times better hai.


Viewen Free Hosting Website Par Account Kaise Banaye


Iski free hosting service ka use karne ke liye aapko isme account create karna hota hai isme account banana bahut hi easy hai aur saath me free bhi hai account create karne ke baad aapko isme product buy karna hai jo bilkul free hai.


Aaiye jaante hai register kar account kaise banate hai !



  • First ! Viewen website par jaiye aur SignUp button par click kariye.

  • Next ! Apna naam aur address fill karke Register button par click kariye.

Register button par click karte hi aapka account viewen par ban kar ready ho jayega !


Well account to ban chuki hai ab aapko isme apna free hosting claim karna hai aur iske liye aap pahle viewen par Log In kariye aur phir niche diya steps ko follow kare.


Viewen Se Free Me Web Hosting Kaise Kharide


Viewen hosting company aapko free cloud hosting provide karti hai ish hosting me sabhi product unlimited hota hai isme aap unlimited email bhi bana sakte hai aur free ssl bhi use kar sakte hai.


Isse free hosting buy karne ke liye niche diye steps ko carefully follow kariye !


Step 1 : Viewen account par Log In kariye then services tab par click kariye.


Free me web hosting kaise kharide


Step 2 : Ab action tab me place a new order menu par click kariye ! (yaha aapko place order par jakar apna free hosting claim karna hai niche aap image me dekh sakte hai main 2 website ke liye hosting li hui hai aur dono mujhe free me mile hai aap chahe to ishme 10 website me free me claim kar sakte hai)


Free wp hosting kaise kharide


Step 3 : Next window Chicago server select kariye then start publishing par click kare ! (yeh viewen ka hosting server hai isme aap koi bhi server select kar sakte hai par inme se india me chicago server hi sabse fast hai isliye chicago hi select kariye)


Free web hosting kaise kharide


Step 4 : Next ! ab yaha apna URL type kariye ! ( yeh hosting sirf .com extension hi allow karti agar aap wp install karna chahte hai to uska URL .com hi hona chahiye)


Free me hosting kaise kharidte hai


  1. Domain URL type kariye.

  2. .com extension enter kariye.

  3. Now ! use par click kare.

Step 5 : Ab aapka product checkout ke liye ready hai ! yeh hosting service bilkul free hai isliye aapko ishe kharidne me ek rupaye bhi nahi lagenge ab ishe purchase karne ke liye checkout button par click kariye.


Free hosting kaise kharide


Checkout button par click karne ke baad ek form open hogi usme Delivery address aur phone number type karke Order Confirmed button par click kare !


Congrats ! ab aapne successfully free web hosting buy kar li hai ab viewen company aapke order ko confirm kar approve karegi aur isme kam se kam 2-3 din lag sakte hai jab order approve ho jaye tab aap phir se Services tab me jaye aur apne domain URL par click kar cpanel open kare aur usme wordpress hosting install kar le.


Isme free ka ssl certificate (secure socket layer) bhi included hai isliye sabse pahle apne domain ke liye ssl generate kare aur phir wordpress install kare aisa tab hi kare jab aap apne site me free ssl install karne me interested ho.


Ish hosting ki speed baki sabhi free web hostings se better hai isme maine apni 2 website host ki hui hai aur ek website me 5k+ traffic bhi hai aur abhi tak meri website na down hui hai aur na hi kisi tarah ki error aayi hai.


So Guys ! ummid hai aapko hamari ye post pasand aayi hogi agar aap post se related or free web hosting se related kuch sawal puchna chahte hai to hame comment kare.


Post pasand aaye to ishe jarur share kare !



Comments

  1. Its my great pleasure to visit your blog and to enjoy your great posts here. I like it a lot. I can feel that you paid much attention for those articles, as all of them make sense and are very useful. This site webstagram is very helpful for you to find about instagram.

    ReplyDelete


  2. Your complete Facial Attendance & access Control Solution at one place
    Scalable solution for your projects with reliability
    access control system

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare