Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare




How to increase android mobile phone typing speed? Mobile phone ke typing speed kaise badhaye? aagar aap aapne mobile phone ke typing speed ko improve karna chahate hai to aap aajke is post ko last tak dekhiye jarur. Aabhi world me jadatar android phone hi istemal hota hai aur aagar aap is post ko mobile se dekh rahe ho to main ummid karta hu ki aap android phone se hi dekh rahe ho, jobhi ho aagar aap aapne mobile se bahut jada typing karte ho aur aapke typing speed slow hai to aap chaho to kuch kam karke aapne typing speed ko pahle se doguna fast kar sakte ho. Jo log computer use karte hai unke pass keyboard hota hai jisme typing karna bahut easy hota hai lekin mobile par koi extra keyboard nahi hota sab tuch screen hai jisme typing karna sach me bahut muskil hota hai. Aagar aap janna chahate Mobile ke sath PC keyboard ko connect kaise karte hai to aap is post ko read kar sakte hai.

Aagar aap soch te hai mobile par typing speed improve karke fayda kya hoga kisi job pe to kam nahi ayega, ha aapka soch sahi hai lekin aagar aap mobile par bahut fast chat karna chahate hai mobile se aagar aap bloging karte hai blog likhte hai to aapke typing speed fast hona bahut jaruri hai. to dosto aagar aap sach me chahate hai mobile typing speed improve karoge to niche ki step ko follow kare aur ek video ko usko bhi dekhiye.


Read: Computer Typing Speed Fast Kaise Kare?



mobile-typing-speed-improve-kaise-kare


Android Mobile Ke Typing Speed Improve Kaise Kare ?



Typing speed improve karne ke liye aapko ek App install karna hoga jis par aapko kuch skill milega aur us par typing practice karna hoga, kyuki aisa kuch bhi nahi hai ki aapne kuch bhi nahi kare aur aapka typing speed u hi fast ho gaya, aapko typing practice karna hoga aur bahut jada karna hoga tab jake aapke speed improve hoga.

Pahle aap niche se "Typing Speed" aapko aapne phone par install kare, install karne ke bad simple isko open kare.



Aabhi aap app ko open kare, open karne ke bad aapke samne kuch niche ki traha app open ho jayega, aapko 4 type ke typing Skill milega.

1. Character Practice → Pahle kuch din aap sirf Character practice kare, bahut jada practice kare, jab aapka ye skill fast ho jayega to aap word practice kare.

2. Word Practice → Jab upar ke character practice aapka fast ho jayega to aap Word practice karte rahiye bahut jada time isko practice kare.

3. Sentence Practice → Jab Word practice fast ho jayega to aap sentence practice karte rahiye, ye aapka 3rd step hai aagar aap upar ke 2 step thik se practice karte hai to aap is step par bahut fast typing kar sakoge.

4.  Give A Test → Aabhi Test dene kam time hai, aagar aap upar ke 3 step ko sahi se karte hai aur aapko mobile keyboard thik thak samaj a gaya hai to aap is step par ek test dijiye aur check kare aapne jo typing practice kiya wo kitna fast hai.


mobile-typing-speed-kaise-fast-karte-hai


Upar pahle se 3 step hai usko aap 1-2 hafte karte rahiye uske bad aap Give A Test par typing karke check kare aapka typing speed kitna hai, is option par aapko 1 Minute, 2 Minute and 5 Minute aapko ek Sentence milega usko aap jo time set karoge usi time me pura karna hoga aagar aap 1 Minute ke under is Sentence ko thik se complete kar pate ho to aapke typing speed improve ho chuka hai.

mobile-typing-speed-kaise-fast-karte-hai


Note: Upar main sirf aapko bataya hai ki typing ko fast karne ke liye aapko karna kya hai, baki kaam aapko hi karna hoga, aap upar ke appko har roj 30 Minute karke  1,2 month use kare dekhiye aapke typing speed jo hai wo pahle se jada fast ho jayega.





Main ummid karte hu ki aapko samaj a gaya hai ki Android mobile par typing speed fast kaise karte hai aur typing speed improve karne ke liye kya kya karna hota hai. aagar aapko ye post helpful laga hai to please post ko aapne dosto ke sath share kare.

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)