Email Kaise Bhejte Hai - ईमेल कैसे भेजते है ?



Hi, Dosto aajke is post me main aap logo ke sath share karunga ki Gmail ID se email kaise bhejte hai. Aagar aapke gmail account nahi hai to aap iss post ko padhe, kyuki email send karne ka sabse accha way hai gmail se email send karna. Email kya hai ? Dosto bahut asan bhasa me email ka matlab hai, pahle ham sabhi kisi dusre desh me ya kisi friends ko khat bhejte the, lekin abhi email ka jamana hai isi liye kisi ko kuch bhejna ho to wo email ki madat se asani se bejh sakte hai. Too dosto chaliye dekhte hai gmail account ki madat se kisi dusre ko email kaise behjte hai.

Read: Gmail Par Email Account Kaise Kare



email-kaise-bhejte-hai-hindi-tips




Gmail Se Email Kaise Bheje ईमेल कैसे भेजते है ?




Dosto main pahle hi baata diya hai Email send karne ke liye aapko pahle gmail par ek account karna hoga aagar aapne account kar liya hai to aap niche ki step ko follow kare.



Step 1. Pahle aap aapne gmail account ko login kare, login karne ke liye aap aapne Email Id and Password ka istemal kare.



Step 2. Login karne ke bad aapko left side par "COMPOSE" Button milega aap uspar click kare.




email-kaise-kare



Step 3. Aabhi aap Right side par dekhe ek box open hoga, "TO" par aap uss email ID ko likhiye jisko aap email send karna chahate hai, uske bad "Subject" par kuch bhi likhe, jaise ki aap kis liye email send kar raheho yafir aapke email par kya hoga wo type kare, Uske baad blank box par aap aapke email type kare aap jo kuch email me send karna chahate hai wo sab kuch iss box me type kare.




Step 4. Aagar aapko Photo ya kisi ko File send karna ho to aap "Insert file" par click kare aur photo send karne ke liye "Insenrt photo" par click karke photo select kare, uske bad "Send" par click kare.




email-kaise-bhejte-hai-hindi-tips



Read: Gmail Account Ko Hamesha Ke Liye Kaise Delete Kare



Note: Email bhejne ke liye pahle aapko gmail par ek account karna hoga, Gmail par account kaise kare is post ko follow karke gmail id bana sakte hai uske bad upar ke tips ko follow kare aur email bheje.

Friends hogaya aapke email send karne ka kaam, aap upar ke screenshot ko acche se follow kare. dosto upar mene bataya hai gmail se kaise email send kare, lekin aap jisko email bhejte hai wo aagar dusre koi email id istemal karte hai jaise ki Yahoo, hotmail etc to koi problem nahi aap aapke account se kisi bhi Email par mail bhej sakte hai.




Aajke liye itna hi, ye post sirf un logo ke liye hai jino internet ke bareme utna pata nahi hai jinko email send karna ata nahi hai. aagar aapko email send karne me koibhi problem hota hai to please comment kare aur post ko aapne dosto ke sath share jarur kare.


Comments

  1. Email kaise bhejte hai ke bare me apne asaan shabdo me bahut ache se bataya hai.Thanks.
    ईमेल में CC और BCC क्या है

    ReplyDelete
  2. bhai mere tu kese rank kr gya mai abhi tak rank nahi hua . mera bhi similar post hai
    https://thehindiguy.blogspot.com/2020/05/how-to-use-email.html

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare