Aadhaar Card Bank Se Link Hai Ya Nahi Kaise Check Kare




Hey ! bank account ko chalu rakhne ke liye ushe ab aadhaar se link karna jaruri hai. Government ne aapko apne bank account ko aadhaar se link karne ke liye 31st december 2017 tak ki time di hui hai.


Aadhaar bank se link hai ya nahi kaise check kare


31st December 2017 se pahle tak agar aap apne bank account ko aadhaar se link kar lete hai to aapka bank account band nahi hoga. Bank account ko aadhaar se link karne ke bahut se tarike hai aap Ghar baithe hi SMS ke through apne bank account ko aadhaar se Link kar sakte hai.


Bank account ko aadhaar se link karne ke liye aapko 3 tarike milte hai aap unme se koi bhi tarika use karke apne account ko aadhaar number se link kar sakte hai par ye dhyan rahe ki aapka aadhaar sahi se Link hua ho.


Agar aapne apna adhaar ID ko bank account se pahle hi link kar liya hai to aap ushe ek baar confirm jarur kar le. Confirm karne ke liye aap UID ki website par ja sakte hai or apne account me online login karke confirm kar sakte hai.


Bank Account Se Aadhaar Card Link Hui Ya Nahi Kaise Check Kare


Aadhaar link status check karne ke bahut se tarike hai. Aap sms aur online ghar baithe hi apne adhaar linking ki status ko check kar sakte hai. In sab ke alawa aap bank branch par bhi ja kar confirm kar sakte hai.


Chaliye mai ab aapko batata hu ki kaise aap apne aadhaar to bank linking status ko ghar baithe hi check kar sakte hai. Mai aapko 3 methods bataunga aap unme se koi bhi method use karke apna bank linking status check kar sakte hai.


#Via UID Website 


First method ! aadhaar (UID) ki website par jakar check kar sakte hai. Isme aapko puri detail milti hai ki aapka adhaar kin kin bank accounts se Link hai. Linking status check karne ke liye niche diye steps ko follow kariye.


Step 1 : UID website par jaiye.


Step 2 : Scroll down kariye aur phir “check aadhaar and bank linking button” par click kariye.


Aadhaar se bank account link hai ya nahi kaise pata kare


Step 3 : Ab isme aapko apna aadhaar number enter karna hai aur saath ho phone numner OTP bhi enter karni hai.


Bank account se aadhaar card link hai ya nahi kaise pata kre


  1. Yaha par aapko apna aadhaar number enter karna hai.

  2. Security code daliye.

  3. Ab send OTP button par click kariye.

  4. Send Otp button par click karte hi aapke mobile number par ek SMS aayega aur usme aapka UID otp hoga ab aap us otp ko ish coloumn me type karke enter button hit kare.

Enter button hit karte hi aap UID website par login ho jayenge aur agli screen par aapko bank link status dikhegi.


Bank account se aadhaar link hai ya nahi kaise check kare


Agar aapka aadhaar number aapke bank account se link ho chuki hogi to aapke computer screen par kuch ish tarah ka right sign dikhega. Upar image me aap dekh sakte hai waha Bank link status me active likha hua hai.


Note : Ye tarika tab kaam karta hai jab aapka mobile number aadhaar card me register ho. Agar aapka mobile number aadhaar me registered nahi hai to aapke phone par OTP nahi aayega aur aap apne aadhaar account me Log In nahi kar sakenge.


#Net Banking


Second Methods ! Internet ke through aap bank account me login karke bhi apni bank link status check kar sakte hai. Sabhi banks ab online ho chuki hai aur agar aap online banking ka use karte hai to apne account me login kar linking status check kar sakte hai.


Online ke alawa aap mobile app ka bhi use kar sakte hai. Kuch banks apne customers ki suvidha ke liye apni khud ki app launch kari hui hai. Aapka account jis banks me hai aap us bank ka app install karke bhi aadhaar linking status pata kar sakte hai.


Step 1 : First ! apne SBI bank account me login kariye.


Sbi online aadhaar status kaise check kare


Step 2 : Ab quick links menu me profile button par click kariye.


Sbi me online aadhaar link status kaise check kare


Step 3 : Ab aadhaar number/UID button par click kariye.


Sbi account aadhaar se link hai ya nahi kaise check kare


Aadhaar Number/UID button par click karte hi aapko aapse Profile Password enter karne ko kaha jayega tab aap profile password enter karke dobara login kar lijiye. Ek baar login ho jane ke baad next screen par aapko aadhaar card link status dikhega.


#Via SMS


Final and last tarika SMS ke through apne aadhaar link status ko check karna hai. Ish method me aapko apne register mobile se ek number dial karna hota hai number dial karne ke baad aapko aapke aadhaar link status ki jaankari di jati hai.


Step 1 : First ! apne bank account register mobile se *99*99# dial kariye then option one choose kariye.


SMS ke through bank linking status kaise pata kare


Step 2 : Now ! apna aadhaar number enter kariye aur send button par tap kariye.


SMS se bank link status kaise check kare


Step 3 : Next ! confirm kariye aur phir send buttton par tap kariye.



Bank link status sms se kaise pata kare


Confirm karne ke baad aapko ek popup message aayega aur usme aapka aadhaar link ka status diya hua hoga. Aadhaar card link status pata karne ka ye sabse easy tarika hai agar aap online banking nahi karte hai to SMS ke through link status pata kar sakte hai.


So freinds ! hope aapko hamari ye jaankari pasand aayi hogi agar aapko hamare ish post se related kuch sawal puchna chahte hai ya hame aadhaar link status check karne ke bare kuch openion dena chahte hai to aap hame comment kar sakte hai.


Post pasand aaye to share jarur kariye ! thankyou



Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare