Windows 7 PC Ki Logon Screen Par Khud Ke Photo Add Kaise Kare



Windows 7 sabse popular OS hai, or agar aap abhi aapne pc par windows 7 istemal karte ho to aaj ke is post ko follow karke aap asani se aapne computer ki logon screen par aapne khud ke photo add kar sakoge. Windows 7 ki logon screen kya hai! iska matlb aap jab aapne computer ya laptop ko start kar rahe ho tab dekhna open hone se pahle ek screen ayega usiko logon screen kaha jata hai. Agar aap aapne pc par password use karte ho to aapko ya jarur dikhega. To chaliye dekhte hai kaise karte hai.

Computer ki logon screen change karne ke liye aapko pahle ek software download karna hoga bahuti chota software jo ki mene niche link de diya hai aap niche ke link se download kare uske bad mera dikhaya huya ek ek step ko follow kareke aapne pc ke logon screen par khud ki image add kare..


Read: Pendrive Ki Hidden Files & Folder Ko Kaise Dekhe



windows-7-pc-ki-login-screen-par-khud-ke-photo


Windows 7 Computer Ki Logon Screen Par Khud Ke Photo Lagaye



Step 1. Pahle niche se "Win7LogonBackgroundChanger" software ko download kare uske bad dekhe "Win7LogonBackgroundChangerSetup" naam ka ek setup file hai us par click karke install kare.


Step 2. Install hone ke bad aap software ko start kare ya aap usi folder se "Win7LogonBackgroundChanger" is naam par click karke open kare. Open karne ke bad kuch is traha dikhe ga.

windows-7-pc-ki-login-screen-par-khud-ke-photo


Step 3. Aab aap sirf  "Choose a folder" option par click karke aapne photo ya koibhi photo jo aap logon screen par dikhana chahate hai usko selete kare aapne computer se.

windows-7-pc-ki-login-screen-par-khud-ke-photo


Step 4. Photo ko select karne ke bad aap upar dekhe ek "Apply" button hai uspar click kare. apply par click karne ke bad aap test karne ke liye aapne pc ko Restart kare or check kare dekhe aapne abhi jo photo set kiya wo logon screen par dikhaye ga.

Main ummida karta hu ki aapne samaj liye hai agar koibhi problem hota hai to nice comment karke bataye hum jarur help karenge. post aagar aapko accha laga hai ye helpful laga hai to please post ko aapne dosto ke sath share kare.

Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare