Jio Sim Ki Downloading Speed Kaise Badhaye [ 100% Working Trick ]




Howdy ! jio sim ko market me launch hue one year ho chuke hai aur relience telecom ke 10 crore users bhi pure ho chuke hai. Jaise jaise jio sim ke users badhte ja rahe hai waise waise sim ki internet speed bhi kam hoti ja rahi hai. Kehne ko to ye 4G sim hai lekin agar aap ishe use kar rahe hai to aapko pata hoga ki iski downloading speed 2G sim ki tarah hai.


Jio sim ki downloading speed kaise badhaye


Jio  sim ki downloading speed states ke hisab se devide ki hui hai jin states me jio sim ke users kam hai waha ki speed 10-14 Mbps tak hai aur agar main apni states ki baat karun to yaha ke har ek bande ke paas jio ka 4G sim hai aur speed 1 Mbps tak hai jo ki targeted speed se bahut hi kam hai.


Jis tarah jio ko introduce  karke market me launch kara gaya tha usse to yahi lag raha tha ki ye hamare soch ke hisab se khara utregi  aur kuch mile na mile downloading speed to badhiya hi degi par aisa kuch hua nahi. Ish sim se aap jitne chahe videos stream kar le wo chalegi achi par agar downloading ki baat aaye to iska server kyu down ho jata hai ๐Ÿ˜›


Well problem jo bhi ho inko kuch keh bhi nahi sakte hai kyuki ye aapko bahut hi kam paiso me unlimited internet data provide karti hai jo ki users ke liye bahut hi achi baat hai. Jio launch hokar bahut se youtubers aur bloggers ko rahat mili hai. Hum sabhi us airtel ke mote mote internet packs recharge se bach chuke hai.


Jio Sim Ki Downlaoding Speed Kaise Badhaye


Agar aap internet me jio sim ki downlaoding speed badhane ke bare me search kare to waha aapko 1k+ tricks milengi but unme se kuch hi aise tricks honge jo properly work karte honge. Kuch logo ko mera ye post bhi fake lag raha hoga but friends aapki jaankari ke liye bata dun mai yaha fake tricks share nahi karta hu.


Hamare website par jitne bhi tricks hai sabhi 100 times tested hote hai well mai aapko iska video proof bhi show kar deta par kuch problems ki wajah se kar nahi sakta. Isko proof karne ka ek hi raasta hai ki aap meri ye trick ko apne phone par use karke dekhiye aur apna opinion hame comment ke dijiye.


Method 1 : By Snap VPN App 


Ish method me mai aapko Snap VPN ki help se jio ki downloading speed badhane ke bare me bataunga. Ish trick ko batane se pahle mai aapko thoda Snap VPN ko ke bare me bata du. Ish app ko ish tarike se banaya gaya hai ki jab aap apne smartphone par jio network ko snap vpn se connect karte hai to sim ki internet speed automatic hi increase ho jati hai.


Snap VPN app ka ek issue hai ki ye aapke smartphone me jio ki speed ko to increase kar sakti hai par smartphone se dusre device me network sharing allow nahi karti hai jiske karna hota kya hai ki agar aap apne Pc or tab me apne phone se internet chalana chahte hai to wo chalti nahi hai.


Snap VPN ko apne smartphone me jio network se connect karne ke baad aap dusre device me internet share nahi kar sakte ho !


Step 1 : First ! apne phone par koi sa bhi internet speed meter install karke apna currect internet jio speed ko check kar lijiye.


Step 2 : Now ! playstore me jaiye aur Snap VPN ko apne phone par download kar install kariye.


Step 3 : Install ho jane ke baad snap vpn app ko open kariye.


Step 4 : Ab snap vpn app me indian server ko select karke internet connect kariye. Indian server se vpn ko connect hone me kuch waqt lag sakta hai ho sakta hai first time me na ho isliye jab tak vpn indian server se connect nahi ho jana try karte rahiye.


Step 5 : Indian  server me connect hone ke baad snap vpn ko close nahi kare ushe background me run karte rahne dijiye. Agar aap ishe connect karke close kar denge to ye work nahi karega isliye ishe minimize kar dijiye.


Step 6 : Ab aap apne phone par koi bhi browser open kariye aur koi bhi random video file download karke dekhiye. Kuch waqt ke liye aapka internet slow ho sakta hai sirf shuru ke 15 minute tak hi show hoga uske baad aapke jio sim ki internet speed bahut jyada badh jayegi.


Note : Agar indian server full show kare to aap koi bhi country ki server ko select karke try kar sakte ha. Kuch countries ki server internet speed high hoti hai isliye aapko sabhi ko ek ek baar connect karke check karna hoga.



To dosto aapne dekha ki kaise aap snap vpn ki help se jio sim ki internet speed ko badha sakte hai ab jo method mai aapko batane wala hu usme aap bina vpn download kiye hi sirf phone ke APN settings se jio ki internet speed ko increase kar sakte hai. Agar kisi reason se snap vpn wala work nahi kare to aap ish trick ka use kar sakte hai.


Method 2 : By Network Configuration Settings


Friends ! ish method ka use karne se pahloe mai aapko bata dun ki iski setting ka tab hi use kare In case jab snap vpn kisi wajah se aapke phone par work nahi kar raha.agar aapke phone me method 1 ache se work kara ho to ish method ko apne phone me apply karna ki jarurat nahi hai. Mere kehne ka matlab dono me se ek hi trick apne phone par use kariye.


Step 1 : First ! phone ki setting menu me jaiye.


Step 2 : Ab more >> network setting me jaiye.


Step 3 : Ab access point me jakar add new apn me click kare aur niche diya apn settings ko defaults me save kare.


  • Server – www.google.com

  • Authentication Type – not set

  • APN Protocol – IPv4/IPv6

Note : Jahan jahan par not set likha hua hai wahan khali rehne de kuch bhi nahi bhare !


Step 4 : Ab sari settings ko change karke save kar dijiye aur phone ko reboot kare.


Ab aapki sari settings ho chuki hai ab phone ko On kare aur internet connection  shuru karke kuch bhi large file download karke check kare. Itna karne ke baad bhi agar jio sim ki internet speed me koi fark nahi pada to ek baar dobara settings ko ache se check kariye then phir se try kare ke dekhe.


So friends ! hope aapko hamari ye post pasand aayi hogi agar aapko jio sim ki internet speed badhane ke bare me aur adhik janna hai to aap mujhse wo comment form me comment karke jaan sakte hai. Aap contact form me bhi apna sawal kabhi bhi puch sakte hai aapke sawalo ke jawab dene me hame bahut khusi hogi.


post pasand aaye to ishe apne friends ke saath jarur share kare !



Comments

  1. Achi jankari hai dhnyavad

    Apkamitra1.blogapot.com
    Ye mera blog hai please visit kre

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare