Top 5 Software DJ Songs Making aur Audio Editing Karne Ke Liye



Hello Friends aajke is post me main aap aap logo ke sath share karunga top 5 software jo aapke audio and dj songs ko edit karne me help karega. dosto aagar aapko audio edit karne ka sokh hai ya phir aap DJ songs banana chahate hai to aajke is software lits me se kisi bhi ek software use karke aap ye kam kar sakte hai. Aaj jo software me aap logo ke sath share karunga isko istemal karke aap aapne Mp3, audio ko Mixing bhi kar sakte ho. Aabhi internet par audio edit karne ke liye bahut software hai lekin sab utna accha nahi hota aur jadatar software fake hota hai isi liye main aap logo ke sath kuch real aur popular audio editing software lekar aya hu.

Aajke in sab software se aap kya kya kar sakte hai! dosto sab kuch aap kar skate ho ek audio ke sath dusre audio ko jod sakte ho, auido mixing kar sakoge, DJ song bana sakoge, audio noise remove kar sakoge, audio me jitna kuch hota hai aap wo sab kar sakoge. to chaliye dekhte hai kon kon sa software hai aake is list me.


Read: Computer Ke Liye Best Video Editing Software



audio-edit-kaise-kare



Top 5 Best Audio Editing and DJ Making Software ?



Dosto niche jitna software main share kiya sab free to nahi hai lekin jo jo free hai wo main bata diya hai, aap free me se kisi bhi ek ko use kare kyuki aajke is list me jitna free software hai wo sab best hai aur aapke liye kafi bhi hai.

1. Audacity :

Sayed aapne iska maan suna hai kyuki normal jo log computer par koi Audio editing karta hai to Audacity se hi karte hai kyuki ye bahuti badiya ek free video editing software hai. sabse badi bat isme bahut kuch features hai phir bhi ye free hai. aap is software ko use karke aapne kisi bhi audio ko mixing kar skaoge, audio se noise remove kar sakoge. aapko is software me bahut sare sound effect bhi milega aagar aap free me koi best audio editor khoj rahe hai to aapke liye ye best hai. ye software windows ke sabhi version ke sath sath mac me bhi support karte hai wo bhi bilkul free.


audio-edit-kaise-kare

2. Virtual DJ :

Yebhi bahut popular ek DJ maker software hai, aagar aapko Dj editing me sokh hai to aapke liye ye best hai, kyuki ye software jada tar sound and track mix ke kam me istemal hota hai, aap is software ko istemal karke aapne pc se kisi bhi songs ko aapne hisab se DJ me convert kar sakoge, lekin dosto isko use karna thoda muskil kam hai isko use karne se pahle aapko sikhna hoga isko use kaise karte hai, sikhne ke liye aap youtube ke madad le sakte hai bahut video aapko mil jayega, aur ye bilkul free hai aapke windows pc ke liye.


mp3-mix-kaise-kare

3. Darkwave Studio :

Yebhi bahuti popular ke audio mixing software hai, aap isko use karke easy tarike se aapne kisi bhi audio ko edit kar sakoge, is software ke under aapko bahut sare instruments milega like Stereo Mixer, Base Head, Stereo Joyner etc. aap aagar ek accha audi edit software khoj rahe hai to ye aapke liye best ho sakta hai. Ye software sirf windows computer par support karega.


best-audio-editor

4. Lmms :

Lmms bahuti popular ek edit software hai, ye bikul free software hai aap isko aapne audi edit ke kam me istemal kar skate hai bilkul free me. isme aapko bahut sare sound effects milega, lekin usko use karne me aapko thoda bahut problem ayega pahle but aagar aap kuch din isko use karoge to easy ho jayega, ye har traha ke OS me support karta hai.


best-5-audio-editing-software

5. Mixxx :

Mixxx bhi bahut popular ek audi mixing software hai, aur yebhi Virtual DJ ki traha track mixing software hai, kuch hi time me 8 track mixing kar sakte hai wo bhi alag alag effects aur loops ke sath, aagar aap dj bagera pasand karte hai to aapke liye ye best choose hai. ye software windows mac sabhi os me support karta hai.


mixxx-best-audi-editor


Friends main ummid karta hu ki aapko is post se kuch best aur top Audi mixing and Dj maker software mil gaya hoga, aagar aapko in software me se koibhi accha lagta hai to aap comment karke bataye aapko konsa accha laga hai, post aagar helpful laga hai to please post ko aapne dosto ke sath share kare, aajke liye itna hi thanks.

Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare