Facebook Par Apna Number Kaise Hide Kare




Hi everyone ! facebook par account create karne ke baad aapko apna number hide karna chahiye agar aap apna mobile number hide nahi karte hai to koi bhi fake aur unknown person aapke profile se aapka number nikal kar aapko call kar sakta hai jisse future me aapko problems ho sakti hai.


Facebook par apna mobile number kaise hide kare


Facebook par account aap Email or Number se bana sakte hai waise security ke mamle me aapko email se hi account create karne ki salah facebook deti hai par Log number se hi banana pasand karte hai. Number se facebook account banane me koi problem nahi hai par use hide na karna problem ho sakti hai.


Well ! agar aap ek Male person hai to aapko koi bhi call kare farak nahi padta hai par wahi agar aap koi Female person hai to aapko Ladke call kar kar ke pareshan kar sakte hai. Facebook ek open source messaging platform hai jaha har koi apse communicate kar sakta hai aur aapse connection bana kar chat kar sakte hai.


Fb ek open platform hai aur iske users duniya me bahut hi jyada hai yaha kaun person kaisa nikal jaye kuch kaha nahi ja sakta hai isliye aapko sawdhani baratni chahiye. Facebook ke users jyada hone ke karan yaha stalker ke bhi hone ki chances badh jate hai ye stalker aapke profile se aapki personal detail stole karke aapko blackmail bhi kar sakte hai.]


Facebook Par Apna Number Hide Karna Kyu Jaruri Hai


Mujhe nahi lagta hai ki aapko ye batane ki jarurat hai phir bhi kuch Log hai jinhe warn karne ki jarurat hai. Kuch log sochte hai ki facebook to ek chota sa website hai isme hame kya problem ho sakti hai par sayad aapko pata nahi hai aap kitne Galat hai. Actually me aap facebook ko sirf 25% hi jaante hai.


Aapko lagta hai facebook sirf ek messaging website hai waise ye sabhi ko lagta hai par aap Galat ho fb sirf ek messaging website nahi hai ye usse bhi kahi badhkar hai. Agar aapko facebook ke bare me detail me janna hai to aap fb ki policy page read kar sakte hai. facebook ke galat use se aapko jail tak ho sakti hai.


Friends ! worlds me aise aise hackers hai jo sirf aapke number se hi aapka pura bio data tak nikal sakte hai agar aapka bio data nikal gaya to aapka bank detail bhi nikaalne me hackers ko der nahi lagegi isliye apna number aapko sirf trusted peoples ko hi share karna chahiye. For a security reason facebook me ye suvidha available hai.


Guys chaliye ab mai aapko batata hu ki kaise apne number ko facebook profile par hide kar rakhte hai !


Fb Par Apna Number Kaise Hide Kare


Facebook par apna mobile number hide karna bahut hi aasan hai par ye unke liye aasan hai jinhe fb use karna bahut hi ache se aata hai. Well waise agar aap ek beginner hai or aapne new fb account banayi hai to aap hamari nichi di hui steps ko follow kar sakte hai. Maine aapko yaha step to step number hide karne ke bare me bataya hai.


Dosto fb par number hide karne ke alawa aap ushe email ID se change bhi kar sakte hai agar aap meri baat maane to mai aapko number ko email se change karne ki salah deta hu. Number ko hide karne se achaa hai ki aap apna facebook account email se hi create kare ya number ko apne email ID se change kar de.


Agar aapko Email ID se number ko change karne me problem ho rahi hai to aap sirf number ko hide kar ke bhi friends or other facebook user se apne phone number ko chupa sakte hai. Mai jald hi email se number change karne ke bare me ek post likhne wala hu jo aap jaise users ke liye bahut faydemand hoga.


Step 1 : Sabse pahle apne facebook profile me login kariye.


Fb par apna number kaise hide kare


Step 2 : Ab setting icon me click kariye aur profile button par tap kariye.


Fb par apna number kaise hide kare


  1. Setting icon par tap kariye.

  2. Then apne profile me tap kariye.

Step 3 : Ab scroll down karke about button find kariye about button mil jane ke baad uspar TAP kariye.


Facebook par number hide kaise kare


Step 4 : Ab about menu me phir se scroll down kariye aur contact info section find kare.


Facebook me apna number kaise chupaye


Contact info wala section milne ke baad apne number ke upar wala edit button me tap kariye.


Step 5 : Finally ab aap apne number ke side wala privacy icon par tap kariye then privacy ko only me select kariye.


Fb me apna phone number kaise hide kare


Congratulation ! aapne successfully apne mobile number ko hide kar liya hai privacy ko only me me select karte hi aapke privacy icon me Lock ka icon show honge lagega jaise ki aap upar image me dekh sakte hai. Ab aapka number hide ho chuka hai ab na to koi facebook users or na hi aapke friends aapke phone number ko dekh payenge.


Number privacy menu me aapko bahut sare privacy option milenge aap chahe to privacy ko sirf friends me show karke rakh sakte hai jisse hoga ye ki sirf aapke friends or family hi aapka number aapke profile me dekh sakenge waise ye jaruri nahi aapki security ke liye number privacy ko only me me hi rahne dijiye.



So Guys ! hope aapko hamari ye jaankari pasand aayi hogi agar aapko facebook par apna mobile number hide or change karne ke bare me kuch sawal puchna hai to wo aap hame comment karke puch sakte hai. Aapki comment hamare liye valuble hai isliye comment jarur kariye ! thankyou 🙂



Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare