Top 10 Niches Ideas - Topic for Indian Bloggers 2017




jab Aap Blogging Start karna chahte hai ya Fir Blog Post Likh Rahe hai, tab Sochate hai ki Kis Subject ka Blog Banaye ? Kaune se High CPC Keyword Use Kare ? title name kya rakhe ? kisase jyada earning hogi ? etc. kaun se subject india me popular hai. ham most productive niches ko Dekhte hai. Blogging se Earning bhi karni hai to ye saval important ho jate hai. blog se maximum revenue pane ke liye blog website Start karne se pahle planning ki jarurat hoti hai. Kyuki global changes ke sath Sabkuchh badalta rahta hai. Agar aap Blogging ke liye Niches ideas khoj rahe hai to ye article aapki help karega. agar aap pahle se blogging kar rahe hai to aapko blog post ke liye bhi ye Blogging subject Useful rahenge.


Top 10 Niches Ideas - Topic for Indian Bloggers 2016
Top 10 Niches Ideas

how to choose a niche topic for your blog ?


Blogging ke Liye Topic Select karne se pahle Aapko kuchh Impotent bato ka khayal rakhna padta hai. Mai Kuchh Tips Aapko De raha hu jo blog Niches Ideas choose karne me aapki help karenge.



  • Aapko Logo ki high demand ke adhar se Niche Select karna chahiye. Log internet pe kya search kar rahe hai isaka Sahi Andaja Lagana Chahiye.

  • Topic related keywords ka List bana lo aur Iski popularity ko samje. Google Search Engine aur Google keyword Planner Ko Use karke Popular Searches ka Pata Lagaye.

  • Aapko Blogging ki competition ko bhi samaj ke Decision lena chahiye. other blogger ke niche topic ko dekhna chahiye.

  • competition jyada naho Fir bhi popular ho aisa Niches ideas khoje. aur isake bhi related ideas pe thinking kare.

  • Next – Aanewale time me bhi aapka blog Niches ideas Popular bana rahe . wo bhi Dekhna Chahiye.

  • Aap kis log – visitor – country – age ko Target karna chahte hai wo bhi sabase pahle hi decision le le.

  • Blogging ya website se earning karna chahte hai to aapke Publisher – advertising platform ko bhi samj le.

  • top Indian blogger aur isake blog niches ideas ka bhi pata kare.

  • Also readTop 50 High CPC Keywords for Google Adsense and Adwords

Top 10 Niches ideas for Indian micro Blogging 2016 :



Health & Fitness blogging niches
Health & Fitness

sabhi log health Aur fitness ki parva karte hai. ye topic all popile ke related hai. india me helth topic pe kam blogging ho rahi hai. aur ho rahi hai to wo popular bhi nahi ho gaye hai. Agar Aap health and fitness ke bare me Jante hai to ise select kar sakte hai. Adsense maximum Earning ke Liye bhi ye niche topic best rahega. isake related Ideas bhi Aap choose kar Sakte hai.


  • Online health magazine, women’s health & beauty

  • women’s health & beauty, House health resort

  • fitness tips in hindi, Health Care Tips in Hindi

  • Daily Diet Tips – Body Fitness , Daly Online Yoga Tips

  • fitness exercises, Online fitness classes


Technology updates blog niches
Technology Blog Niches

Hi-tech world Day Per Day increase ho raha hai. daily new latest technology updates Hoti rahti hai. is Neches Ideas Ko choose karne pe biggest benefit mil sakta hai. Daily new gadget, device, Smartphone, Laptop, software… Market me launch Hote hai. Logo ko isake bare me interested rahte hai. adsense se high CPC pane ke liye bhi ye best blog niches ideas hai. Aapko Daily latest unique Content Milta hai. related keyword Padhe.


  • tech news, new technology, latest technology news

  • Mobile Reviews, science, and technology

  • modern technology information, Application

  • Mobile- computer Tips, best mobile phone

  • Laptop tips And tricks, Android Apps

  • Also read :

  • Blog Post Ko Free Promote kaise Kare – Top 5 Tarike


Career and jobs blogging topic 2016
Career & job niches ideas

Indian Yuva Ke Liye ye hot topic Hai. Online Naukari – job ke per month 20,00000 searches Search Engine pe hote hai. isase aapko is niches ideas ki popularity ka andaja aa sakta hai. maine dekha hai ki Jobs related Sabhi blog Success hote hai. maximum earning bhi Aap is Topic se kar sakte hai. education ko bhi aap is topic ke sath jod sakte hai.



kuchh Related Popular Keyword


  • online jobs , government jobs, part time jobs

  • job search engines, career, employment

  • job vacancies, online application website

  • local jobs, job vacancies , careers advice, career opportunities

  • Online teaching, online courses, Online Career Guidance


Music & Entertainment blog niche
Music & Entertainment

Agar Aap very Easily blogging karna chahte hai to ye topic aapke liye hai. kai blogger Entertainment , Music, movies Videos Ke bare me Blogging karte hai. Bollywood aur other areas of film industry ke bare me bhi Indian interest lete hai. jab bhi koi new movies ya Music song movies release hoti hai to high Traffic aap Pa sakte hai. Hala ki mp3, videos Download Link ko Aap blog me promote karte hai to copyright ka problem aa jata hai. isase bachke blogging karna behtar hai. Music & Entertainment Indian people ki demand high demand hai. its very simple blogging but maximum Traffic increases Niches ideas.


  • top related high Searches keyword List :

  • celebrity gossip, entertainment news

  • Song Download, Mp3, Mp4 Videos Free Download

  • music online, listen to music, play music online

  • entertainment news today, new Movies reviews

  • box office reviews, Online celebrity magazines

  • local latest entertainment, celebrity birthday

  • celebrity videos and Images

  • Useful : Blog – Website Me Mp3 File Kaise Add Kare : All Option


Blogging Tips niches ideas 2016
Blogging Tips

ye topic considered aur profitable blogging niche mana jata hai. dusaro ko tips and tricks dekar help kar sakte hai, earning bhi kar sakte hai. but Blogging Niches high competition topic hai. Aapko isake liye pahle to khud ko develop karna padta hai. blogging knowledge aur experience ke bina aap success nahi ho sakte. isake liye Apke pas api, seo, traffic, keyword, adsense, youtube, html, css, software, hosting…etc. ka micro knowledge hona jaruri hai. but, the best blog niches ideas.


  • Free Blog website tips & tricks, developing website

  • free blog hosting, Domain Provider, create a blog for free tips hindi

  • Application Development, advertising-Publisher Reviews

  • blogging settings online services, online earning way

  • design your own website, creating website free

  • Online website coding help, website developer company

  • android market, online blog SEO tools, free traffic tips

  • SEO helper, website script guide… etc.

  • Ye bhi Padhe : Youtube – Adsense Se Paise Kaise kamaye ?


Online shopping blog niches ideas
Online shopping blog

Online Shopping india me popular topic banta ja raha hai. Aanewale dino me Sabse Best blog Niches Ideas ban Jayega isame koi Doubt mat rakhna. ek din aisa bhi aayega ham Pani bhi Online Shop se buy karenge…!!! abhi tak ham Clothes, Shoe, Mobile, laptop, electronics items…Etc. tak Simit hai fir bhi aap dekh sakte hai ki ye kitana popular shopping way banta ja raha hai. isame ham jyada earning bhi kar sakte hai.


  • Online Shopping Clothes, Shoes, Accessories, Jewellery

  • Online shopping for Women, man and children

  • online Mobile price and Reviews, online shopping Tips

  • online shopping sale, online shopping sites list, reviews, tips

  • save money tricks for online shopping, online shopping fashion

  • online payment tips, free online shopping ideas…Etc.


Social Media blog micro niches 2016
Social Media

Social Media 2 – 4 year se Apana Rank Badha raha Hai. ye ab only friendship ?? ke Liye nahi raha, But social media marketing ka kam Karne laga hai. kisi bhi business ya Product ko free promote karne ka best way ban gaya hai. social networking ke liye bhi aap helpful blogging kar sakte hai. social media management ke related blog post publish karke niches ideas ko choose kar sakte hai.


  • social networking websites, Social media Guide

  • social media marketing, social media marketing strategy

  • social media tools, social media platforms help

  • social network analysis, social media for business

  • management, campaign, monitoring, marketing tools

  • maximum revenue for Social media

  • Useful Article : Blog Post me SEO Friendly Keyword Kaise Use kare ?

8. Sports – Cricket, IPL


Sports – Cricket, IPL niches blogging
Sports – Cricket, IPL

Indian people Favorite game. Other Country ke Mukable Ham games me Jyada Interest lete hai. live cricket ho ya hockey, ham television ke samne ganto baithe rahte hai. kahi aur gaye hoto live Score internet pe dekha karte hai. cricbuzz.com website kyu popular hai ye to aap samaj hi sakte hai. games aur games player ke latest news padhne me ham badi dilchaspi lete hai. aap ke blogging ke liye ye topic top niches ideas ban sakta hai.
blogging me aap games related keyword ko bhi use kar sakte hai.


  • Cricket Players and Official news, ICC overview of Player Rankings reviews

  • Live cricket scores, commentary, match coverage

  • sports news today, sports news portel

  • Online Score, sports update, sports reviews for cricket

  • live cricket news, Online Sport magazine

  • International Cricket Players Records, Cricket Players Profile, life story

  • Cricket Photos – Gallery of Images and Stills, games players biography

  • Useful Article : 10 Killer Tips – Website Page Rank Improve Kaise Kare

9. Personality Development


Personality Development niches blog ideas latest
Personality Development

Most of the people ko health, technology aur blogging tips ke bare me internet se jankari mil jati hai. but Personality Development ki bat kare yo online guide karne wale blogger jyada nahi hai. kai institution hai jo Personality Development training provide kar rahe hai. kya aap Online ye Guide nahi de sakte ? ” this niche a good profitable and most searched niches ” improve our identity, how to improve our awareness, better person. Moreover,psychology of life ke bare me knowledge provide kar ke blog se earning bhi kar sakte hai. Isame Aapko High CPC rate bhi Mil Sakta hai.


subcategories you focus on your Personality Development blog



Promote your Hobby blog niches subject
Promote your Hobby

Ye topic sabhi new blogger ke liye first option ban sakta hai. aapko blog niches ke liye koi ideas nahi hai fir bhi aap start a blog karna chahte hai to apane hobby ko promote karke bhi blogging ki ja sakti hai. isaka simple example hai Writer and poet. inake blog kitane popular hote hai ye aap search karke dekh lijiye. jaise mai ( HindihelpGuru ) School teacher bhi hu. agar muje blogging ke liye easy subject chahiye to online teaching niches ideas mere liye best rahega. is tarah aap bhi koi hobby ko promote kar sakte hai.


Actually ye topic earning ke liye bahot badhiya ho sakata hai, nahi bhi ho sakta hai. ye aapke hobby topic pe depends karta hai. example : agr ” your hobby is cricket ” to ye topic earning ke liye bhi best hai. agar aap poet me interest hai to aap isase jyada kamai nahi kar sakte. related keyword aap aapki hobby ke Base se choose kar sakte hai.


Useful : Online paise Kamane ke top 30 tarike Hindi me >>


Extra Comment : 


Friends, Jab Aap Blogging me Career banane ja rahe hai tab ye Article Aapko Puri tarah Guide Karega. Aap Blogging Kar rahe hai to Aapko india ke top 10 Popular Blog niches ideas Bhi Mil jayenge. Aap blog Post me Ye High CPC Keyword ko use karke Maximum earning bhi kar sakte hai. share karna Mat bhule. Fb Page ” HindiHelpGuru ” se bhi contact kare.


Save


Save






Comments

Popular posts from this blog

Mobile Ke Sath PC Keyboard Ko Connect Karke Typing Kaise Kare

Web Designing & Developing me Career Kaise Banaye (Puri Jankari)

Android Mobile Ke Typing Speed Fast Kaise Kare